Showing posts with label hai. Show all posts
Showing posts with label hai. Show all posts

Friday, 1 May 2015

MI Band kya cheez hai

Hello logon!!

aaj ki post dedicated hai MI Band ke liye. waise ye aakhir cheez kya hai? isko lene ka kya fayda hai? ye sae sawal ka jawab aaj aapko aap ki apni bhasha yani desi bhasha bole to hinglidh me mile ga.

angrej log is tarah ki device ka naam smart band rakha hai agar iska anuwad hindi me karen to matlab huwa aqalmand kada/churi. ab chori bhi dimag wali aane lagi hai market me!!

chalo dekhen ki isme kya aqalmandi hai
iss me ek padometer laga hai jo ki hum isko pahan ke kina chalen hain wo number of steps me ginta rahta hai. jo log aaj kal health conscious rahte hian unke liye bade kaam ki cheez hai.

ye aapki neend ko bhi measure karta hai ki aap kitna soye hain aur usme se kitna time gahri neend me rahe. aur aapko jagane ke liye isme ek vibrater hai jo ki dheere dheere appko neend se jagata hai. taaki aap aram se dheere dheere bilkul fresh uthe.

jab kabhi aapka phone ata hai to uska bhi notification ye vibrate ho kar aapko de dega

aur agar aap ke paas MI ka hi phone hai to aap iske zariye aapna phone unock bhi kar sakte hain

isme ek battery lagi hai jisko 10 din me ek baar chargekarna padega
 ye blutooth ke zariye aapke phone se connect hota hai

iska price Rs 999 hai but first 1000 logon ko Xiaomi sirf Re 1 me de rahi hai. aap bhi luck ho sakte hain.
ye sirf mi ki official site par hi bilke ga jiska link neeche hai.

 MI BAND STORE

aur agar kuchh poochna ho to comment box zara hi neeche hai.

good bye

Saturday, 25 April 2015

MI 4i Kaisa Hai

Hello logon!!

apni hinglish ke support ko badhawa dene ke liye soch ki aaj ek naya post kar liya jaye.

naya naya ekdum mast phone launch kiya hia MI ne to socha ki uski hi ek review daal di jaye

MI 4i ka daam rakha hai 12999 matlab pure 13000 rupay.

lekin boss ek baat to hai is rate me itna kuchh aur koi nahi de raha Asus ne bhi jo 13000 ka phone launch kiya hai woh kafi competitive hai but display and processor me MI 4i ka koi muqabla nahi hai ekdum phod dali hai asus ki xiaomi ne.

aur moto ya samsung to is ke aas paas bhi nahi ata.

xiaomi ki sabse badi problem hoti hai battery life, ab is ki battery kaisi chalegi ye to phone ke market me aane ke baad hi pata chale ga. waise kaun se android smart phone ki battery koi achhi chalti hai  

abhi tak jaisa dekh ne se lag raha hai us hisab se to 15k ke neeche yeh best phone hai lene ke liye

Xiaomi MI 4i ka specification ek nazar me