Showing posts with label Urdu. Show all posts
Showing posts with label Urdu. Show all posts

Friday, 1 May 2015

MI Band kya cheez hai

Hello logon!!

aaj ki post dedicated hai MI Band ke liye. waise ye aakhir cheez kya hai? isko lene ka kya fayda hai? ye sae sawal ka jawab aaj aapko aap ki apni bhasha yani desi bhasha bole to hinglidh me mile ga.

angrej log is tarah ki device ka naam smart band rakha hai agar iska anuwad hindi me karen to matlab huwa aqalmand kada/churi. ab chori bhi dimag wali aane lagi hai market me!!

chalo dekhen ki isme kya aqalmandi hai
iss me ek padometer laga hai jo ki hum isko pahan ke kina chalen hain wo number of steps me ginta rahta hai. jo log aaj kal health conscious rahte hian unke liye bade kaam ki cheez hai.

ye aapki neend ko bhi measure karta hai ki aap kitna soye hain aur usme se kitna time gahri neend me rahe. aur aapko jagane ke liye isme ek vibrater hai jo ki dheere dheere appko neend se jagata hai. taaki aap aram se dheere dheere bilkul fresh uthe.

jab kabhi aapka phone ata hai to uska bhi notification ye vibrate ho kar aapko de dega

aur agar aap ke paas MI ka hi phone hai to aap iske zariye aapna phone unock bhi kar sakte hain

isme ek battery lagi hai jisko 10 din me ek baar chargekarna padega
 ye blutooth ke zariye aapke phone se connect hota hai

iska price Rs 999 hai but first 1000 logon ko Xiaomi sirf Re 1 me de rahi hai. aap bhi luck ho sakte hain.
ye sirf mi ki official site par hi bilke ga jiska link neeche hai.

 MI BAND STORE

aur agar kuchh poochna ho to comment box zara hi neeche hai.

good bye

Saturday, 29 November 2014

Dhanyawaad Shukriya Thanks

Hi Folks,
Shukriya

Sab se pahle mere sare visitors ko bahut bahut thanks, maine aaj dekha ki mera blog ki total visit 10,000 ko paar kar chuki hai. Mere liye ye bahut bada achievement hai kiyon ki mainaisa koi bahut zada dhyaan bhi nahi deta is blog pe. Par ab lagta hia ki aap logon ki twajjuh ka khayal rakhte huwe ise regulary update karna chahiye. jisse logon ko kuchh aida ho.

Maine socha hai ki english me to hazaron blogs hain aur internet bhara pada hai tarah tarh ki information se, magar kai log aise hain jo english achhi tarah se nahi samajh paate magar internet par aur computer par english script ka hi istemaal likkhe padhne ke liye asaan hai. isi ko dhayan me rakhte huwe maine soch hia ki ab is blog pe apne nayi zabaan Hinglish me hi update karon ga. take jo mere jaise log hain jinhe english script padhna sabse asaan lagta hai magar hindi/Urdu samajhna aur bolna english me baaaten karne se zada pasand hai, unke liye ek platfform banadon.

Bas aaj ke liye itna kaafi hai.

Please mujhe apne batayen ki aap kin chizon ko padhna pasand karenge. Comments section aap ke hi liye hai.

Peace.